<$BlogRSDUrl$>
the 'Fist' & the 'Pacifist'
Though my soul may set in darkness, it shall rise in perfect light,
I have loved the stars too fondly, to be fearful of the night.
Monday, May 24, 2004
Play Time 3 minutes 56 seconds...can often span a lifetime.

“Yeh Jeevan Hai, Is Jeevan Ka
Yahi Hai - Yahi Hai - Yahi Hai Rangroop
Thode Ghum Hain, Thodi Khushiyan
Yahi Hai - Yahi Hai - Yahi Hai Chaon Dhoop
Yeh Jeevan Hai...
Yeh Na Socho Isme Apni Haar Hai Ke Jeet Hai
Ise Apna Lo Jo Bhi Jeevan Ki Reet Hai
Yeh Zid Chodo, Bandhan Yuh Na Todo
Har Pal Ek Darpan Hai
Yeh Jeevan Hai...
Dhan Se Na Duniya Se, Ghar Se Na Dwar Se
Saason Ki Dor Bandhi Hai, Preetam Ke Pyar Se
Duniya Choote, Par Na Toote, Yeh Aisa Bandhan Hai
Yeh Jeevan Hai...
Yeh Jeevan Hai, Is Jeevan Ka
Yahi Hai - Yahi Hai - Yahi Hai Rangroop
Thode Ghum Hain, Thodi Khushiyan
Yahi Hai - Yahi Hai - Yahi Hai Chaon Dhoop
Yeh Jeevan Hai... “


Movie: Piya ka Ghar
Lyrics: Anand Bakshi
Vocals: Kishore da